Saturday, February 12, 2022

Aasan nahi hai THAPAR hona.

 Zindagi Mein dukh aaen hazaar par mat rona

Imaandaari se ki hai kamai, to jake ghar chaen se sona

Hansi ka bojh hoton par har Waqt rakhna padta hai

Tumhe kya laga, aasan hai THAPAR hona.



Saare jahan ko parakh kar, aakhir yeh faisala kia

Koi bharose layak nai, har shaks ne dhoka dia

Toh kya hua jo ho gya hai viraan dil ka har ek kona

Phir kehta hu samajh lo, aasan nai THAPAR hona


Ek paed ko jo kaat dia, aur ghar pe jaker so gya

Uske baare main toh soch, jo parinda beghar ho gya

Gaya jo nahi aaega chod ab yeh rona dhona

Tum kyun samajhte they ki aasan hain THAPAR hona

No comments:

Post a Comment